Islami nuqta nazar se billa zaroorat tasveer lena, isko baaqi rakhna haraam aur gunah e kabeera hay, tamaam ulama aur a'emma ka ispar ijmaa o ittifaque hay aur is silsile me mutaeddad saheeh aur sareeh ahaadis maujood hay un mae say kuch ka tazkira kiya jaata hay taa kay hamaray liye ye baat waazih hoojaye kay tasaveer kashi aur uska abqa kiss qadar allah rabbul izzath aur rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki nazar may naaraazgi ka baa'is hay.
HAZRATH AYESHA R.Z farmati hain:ek martaba huzoor sallallahu alaihi wasallam mere paas tashreef laye jab kay ghar me ek baarik pardah tha jis me tasaavir thee, aap kay chere ka rang (gusse ki wajah se) badal gaya aur aap ne us parade ko lekar chaak kardiya, phir farmaya kay qayamat kay din sab say zyada saqt azaab waaloun may say wo log hoongayjo Allah ki sifat taqleeque may uski naqal utaar tay hain.
No comments:
Post a Comment