MIYAA,BIWI AUR NOUKRI
Ek waqt tha
mard ko sharam aati thi k uski biwi naukri kare usay faqar hoota tha koay wo
kamaraha hay aur uski biwi ko bhi bahut maan hoota tha.
Laykin phir waqt k saat saat sooch bhi
badal gayi,
Mehengaai k
muashray par asraat paday aur kuch magrib ko dekh kar logoun ne apni baytiyoun
ko ghar se kamane k liye nikaala,
Baaz logoun
k liye majboori thi,kyoun kay unka bayta koi nahi tha,wahan bayti hi bayta
banjaati hay,ab hoona tou ye chaahiye tha k mard zimmedari ka muzaahera karta
aur aurat ko ghar k baher bhi protection deta,
Lekin hamare
muashray me ghar se baher qadam rakhne wali ladki ko shikar samajhne laga,
Ladkioun k
aage badne ka asar ye huwa k shadi k liye in ladkioun ki maang badhgayi jo
noukriyan karti hain aur nuqsaan ghar me baythne waali ladkiyoun ka huwa.wo
bechari ghar me bethi bethi boodhi hooe lagi,ek nuqsaan ye bi huwa k mard bhale
biwi ko naukri karne dayta hay wo saath me ye bhi jaanta hay kay biwi ghar ki
zimmedari bhi poori kare for example:88 hours baher duty aur baqi din ghar duty
iski wajah se ghar me jhagday shuroo hoogaye.
Iska natija
ye nikla k aurat jo mard par pehle inhisaar karti thi jab kamane lagi tou itni
nidar bhi hoogayi k usne talaq ka dar hi nikaal diya.
Hamare
muashray me aysi ladkiyaan common hain jo noukri bhi karti hain qhud muqtaar
hain aur talaaq yaafta bhi hain,
Mardoun ka
isme kaafi qusoor hay wo ye soochta hi nahi k aurat kamae bhi ghar chalane me
hissa daalay aur pir ghar k kaam bhi kare wo bhi insaan hay koi mechine to
nahi.
Laykin mardoun
ki aksariyat ki tarbiyat hi aysi huwi hay k wo qhud ko badaltay nahi aur jo
badaltay hain unko aysay jaahil log run mureed ka naam daydaytay hain,
Yaad rakhen!
Miyan biwi k ta’alluq me izzat sab se eham cheez hay,
Aurat ki
ezzat aur ehtiraam hi ek mard ka kaam hay,agar aap chahte hain k aap ki biwi
aap ka saat day tou usko bhi thakaan utaarne ka time dayn
E’say insaan
hi samjhayn,
Aurat ko
allah ne din ka bahut hi accha banaya hay aap pyaar muhabbat say baat karayn
ghar jannat banjayega
Ye daulat
yahan hi rehjani hay rishtoun ki qadar karaen..!!
No comments:
Post a Comment