Bahut se log kehte hain dua me ji nahi lagta waqiya bhi yahi
hay ke jab aadmi dua shuroo karta hay tou kuch dayr tar uska ye haal hoota hay
ke shaitan usko muqtalif kaam yaad dilata hay ke falaan kaam baqi hay falaan
jaga jaana hay etc., garz ye ke jaldi dua qatam karne ka daa'eya paida karte rehta hay iss waqt aadmi nafs ka muqaabla kar
ke batakalluf dua me mashgool rahe tou 2 ya 3 minutes baad hi ye kaifiyat hooti
hay ke dua me jee lagne lage ga dua qatam karne ko jee nahi chahe ga, tou dua
me jee lagane ki tadbeer aur iss ka tareeqa ye hay ke aadmi jab dua shuroo
karta hay, ye nafs hay, ise dabana padhta hay, saare sulook ka qhulasa hi ye
hay, iss baat ki aadat daalein, poora mahina iska ehtimmam karein, sab kuch
ALLAH ke qabze me hay iss se maangne ki zaroorat hay, apne liye bhi dua karein,
apne ghar waaloun ke liye bhi dua karein, apni basti waale, apne muhalle waale
aur saari ummat e muslima ke liye dua ka
ehtimaam karein aur 5 ya 7 minutes dua ke liye spend karein, phir insha allah
du aka mizaaj banjayega, aap iss ka fa'eda
mesoos karengay, ALLAHU TAA'LA mujhe aur aap sab ko taufeeq ataa farmaein
aameen-
No comments:
Post a Comment