KYA YE QAYAMATH SE KUCH KAM HAY?
Ek
france kay doctor ne “TV5” name ka ek channel ko interview daytay huwe kaha:
Aaj ek clock aysi aayi kay mujhe laga may “shiddat e takleef
say” andar hi andar jhayll raha hoon.
Huwa ye kay “corona” kay ek mareez ne apni aaqri waqt me hum
se darquast ki kay wo aaqri martaba apni aulaad se milna chahta hay.pehle tou
hum ne saaf inkaar kardiya.laykin jab wo buri tarah roo roo kar israar karne
laga tou hamey is par bahut taras aaya aur hum ne is ski baat maanne ka faisla
kiya.chunachay hum uss jagah ki khaas toor par safayi me mashgool hoogaye.taa
kay mareez kay ghar waloon kay liye koi khatra na rahey.phir “batoor e doctor”
jab hamein ye yaqeen hoogaya kaya b “wo” isi andaysha kay bagair aasaktay hain
tou hum ne mout ki aaghoush me aaqri saans lay rahe shaqs ki “aaqri qhuwahish”
poori karne kay liye uskay ghar waloon ko phone kiya.
Laykin bahut afsoos kay saath ye batana padhraha hay kay
mareez kay ghar waloon ne baap say aaqri martaba milne say inkaar kardia kay kahin
unko bhi ye virus na lag jaye.
Hum ne un se iltija ki
aur lakh yaqeen dilaya kay hum ne ehtiyati tadabeer layli hay aur aap
kay liye koi qatra nahi hay laykin wo nahi maanay aur phone kaat diya.
Ye wo din hay kay jis din insaan apne bhai se bhagay ga,apne
maa baap se bhage ga aur maa apne bacchoun se bhagay gi…
ALLAH HUM SAB KI HIFAZAT FARMAEN AAMEEN
By:
TSR
No comments:
Post a Comment