
(4)Chaar ilm zaroor hasil karne chahiye
Hatim Tai Ne Kaha Tha’ may Ne (4)chaar ILM Haasil Kiye Aur Duniya k Tamaam Aalimoun Se chood gaya’kisi ne poocha’wo (4)CHAAR ILM koun koun se hain?”Hatim ne jawab diya’
(1)pehla ye k may ne samaj liya k jo rizaq
mere qismat me likha hay won a tou zyada hoota hay na kam.iss liye mae zyada ki
talab se mutma’in hoogaya.
(2)doosra ye k allah ka jo haqmujhpar hay
wo mere siva koi doosra adaa nahi karsakta iss liye mae isme mashghool hoogaya.
(3)Teesra ye k ek cheez mujhe dhoondti hay
aur wo hay mout,may uss say bhaag nahi sakta aur uskay saath samjhoota karliya.
(4)chauta ye k mera allah ek hayjo mujhse
baaqabar rehta hay.may ne uss say sharam rakhi aur bure kaamoun se haath
uthaaliya.
ye chaar ilm zindagi k usool aur aisi
mash-al raah hain k jis ne Inhein apna liya zindagi uskay liye itni aasaan aur
mutma-in hooga’e k shaayad duniya me kisi aur ki na hoo.hum duniya bhar k aala
idaroun se taalim hasil karlain magar
jab hum in usooloun ko samaj layn gay aur inhein apna oodhna bichoona
banalayngay tou iss ilm ki barabari duniya ki koi taaleem nahi kar sakti.iss
ilm mae na sirf duniya ki kaamiyabi aur sukoon hay balkayaaqhirat ki naajaat
bhi pooshida hay…..
By:
TSR
No comments:
Post a Comment